Fursaton main


Ek Lambi si saans ke baadh
Halke se jab lab Chhu Jaaye
Uski mehak zehen Ko Garaq Karde
Laboon pe uski garmaish ki chuban jagaade
Uski mithaas Yun Aesaab main daude
Ki masroor Kar chaude
Aur Kadwaahat uski yeklahza
Barson ka Khumaar Taude

Aur fir Zehen Aazad Ho
Waqt Ke Daudne Ke Shau'ur Se
Aur Khud Waqt Aazad Ho
Besabab Ki Fikrun Ke dastur se
Naa ho koi phone aane ka waswasa
Naa darwaazay ki Bell bajne ka khadshah

Aur Fir Ek Baar Ek Lambi Saans Se
Uski Mehak Main Gota zan ho jaayein
Aur Yeh Silsila Ek Taweel Muddat
Apni Chai Ke Saath Guzaarein



You may also like

Popular Posts