Ab Bhi

Tark e Taluqaat ke baadh bhi taaluq hai barqarar
Ki Dil Ab bhi teri yaad main rehta hai beqarar

Kaise Judaai kahe isse koi ki jab
Har waqt mere Aesaab par tum hi ho sawar

Haan har waqt nahi kabhi kabhi
Nahi kabhi nahi, haan wohi, kabhi kubhaar

Haan ab kuch baaqi nahi raha
Khatam hogaye marasim aur tootgaye waaday saaray

Aankh ka Rabb jaane, tere phone main ab tasveer kisi aur ki hai
Meri baaton main bhi hai khanak, par zanjeer kisi aur ki hai

Judaai, Widaai, Firaaq, Dokha, Fareb, Muqadar jo bhi naam do
Maine Faramosh kardiya hai tumhein
Tumhein bhi waqt kahan milta hoga mujhe ab yaad karne ka

Ro raha hun magar hansi aayegi tumhein sunkar...
Mohabbat ikhtetaam hui par phir bhi ...muashqa chaloo hai tumse

Ki ab bhi maheeno tak tumhein yaad na karna
Tumhari fikr na karna
Tumhara naam na lena

Phir khalwat ke goshe main sabhi fikrun ko bhulakar
Masaaib ko paray rakh kar

Dil hi Dil main tumhein sataata hun
Dil hi Dil main tumhein manaata hun
Yani ki Ashiqi ke sab faraaiz ab bhi bakhubi main nibhaata hun





Popular Posts